mujh par bhi raham khaya,
Bheja kyun mujhay is jahan mei,
yeh mujhay kabhi samajh naa aaya..
Tere mere daron k bahar
aksar mai baitha karta hun,
Aur kya hai woh jiski hai talaash mujhay
Yehi socha karta hun..
Sochtay he sochtay ,
dekhtay he dekhtay
Aaye tum saamne mere..
Dil ne yeh pehchana ki
ho tum he ho is talaash
ka saahil mere...
Meri kashti ko thikana na diya tumnay
Aur bhej diya andheray samundar
ki ghehraayion mei mujhay..
Kabhi bathatka,kabhi satakta,
dhundhta raha ek naaya saahil
par hua yehi ehsaas mujhay
ki har kashti ke hoti hai
ek he manzil....
Khuda ne mere hawaon ka rukh badla
Aur pahuncha diya ek baar fir
Tere dar mujhay...
Sunaya tujhay jab haal-e-dil
aur haal-e-safar mainay
Toh hua tujhay bhi hua yakeen
ki tu he hai meri kashti ka saahil...
Tufaano ko na manzoor hai mera
tere dar par rehna,
har ghadi jhanjhortay hain ki mai ud jaun,
Aur gum ho jaun us andhere samandar mei...
In toofaano ke yeh pata nahi..
Ki us andhere mei ,mai ab nahi jaunga,
Ki tere saath reh jaunga,
Ya us zindagi dene wala khuda ko
zindi lauta dunga........
Tu he meri arzoo,
Tu he meri zindagi,
Tu he meri ishq-o-ibadat,
Mit jaunga,
Mar jaunga,
Par tera daaman ,
Ab kabhi na chodhunga..
Kabhi na chodhunga...